didar men ik-tarfa didar nazar aaya
har baar chhupa koi har baar nazar aaya
chhalon ko bayaban bhi gulzar nazar aaya
jab chhed par amada har khaar nazar aaya
subh-e-shab-e-hijran ki vo chak-garebani
ik alam-e-nairangi har taar nazar aaya
ho sabr ki betabi ummid ki mayusi
nairang-e-mohabbat bhi be-kar nazar aaya
jab chashm-e-siyah teri thi chhai hui dil par
is mulk ka har khitta tatar nazar aaya
tu ne bhi to dekhi thi vo jaati hui duniya
kya akhri lamhon men bimar nazar aaya
ghash kha ke gire muusa allah-ri mayusi
halka sa vo parda bhi divar nazar aaya
zarra ho ki qatra ho khum-khana-e-hasti men
makhmur nazar aaya sarshar nazar aaya
kya kuchh na hua gham se kya kuchh na kiya gham ne
aur yuun to hua jo kuchh be-kar nazar aaya
ai ishq qasam tujh ko maamura-e-alam ki
koi gham-e-furqat men gham-khvar nazar aaya
shab kat gai furqat ki dekha na ‘firaq’ akhir
tul-e-gham-e-hijran bhi be-kar nazar aaya
Leave a Reply