mohabbat men shikayat kar raha huun
shikayat men mohabbat kar raha huun
suna hai adaten marti nahin hain
so ḳhud ko ek aadat kar raha huun
vo yuun bhi ḳhubsurat hai magar main
use aur ḳhubsurat kar raha huun
kise ma.alum kab aa.e qayamat
so har din ik qayamat kar raha huun
udasi se bhari ankhen hain us ki
main sadiyon se ziyarat kar raha huun
zarurat hi nahin meri kisi ko
so ḳhud ko apni chahat kar raha huun
Leave a Reply