main to samjha tha mira kirdar hi maara gaya
is kahani men kahani-kar hi maara gaya
dushmani karne ka phir kya fa.eda hai tu bata
main tire hathon agar be-kar hi maara gaya
main ḳhayal-e-yar ki sochon ko sochun kis tarah
main ḳhayal-e-yar men sau baar hi maara gaya
phir mohabbat ho ga.i ham ko tumhari yaad se
phir dil-e-bismil dil-e-bimar hi maara gaya
ab to jiine ki koi surat nahin aati nazar
ab to marne do ki mera yaar hi maara gaya
ham pe aisa hadisa guzra mohabbat men ‘vaqas’
ham rahe zinda hamara pyaar hi maara gaya
Leave a Reply