• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dil Ko Isi Sabab Se Hai Iztirab Shayad

Dil Ko Isi Sabab Se Hai Iztirab Shayad

dil ko isi sabab se hai iztirab shayad

qasid phira hai le kar ḳhat ka javab shayad

ankhen chaḌhi hui hain baten hain bahki bahki

aa.e ho tum kahin se pi kar sharab shayad

kya jaane kis hava men itna ubhar raha hai

hasti nahin samajhta apni habab shayad

mujh par jo vo sahar se is darja mehrban hain

shab ki dua hui hai kuchh mustajab shayad

bimar huun bandhi hai dhun rat-din safar ki

ghurbat men apni miTTi hogi ḳharab shayad

pichhle se vasl ki shab asar sub.h ke hain

niklega raat hi se aaj aftab shayad

aaya bahut dinon par zahid jo mai-kade men

bhuli hui thi us ko rah-e-savab shayad

barsat ki kami se kya qadr ghaT ga.i hai

aisi kabhi biki ho arzan sharab shayad

apne dimagh men to ab ye basi hui hai

behtar tire pasine se ho gulab shayad

bazm-e-adu men aa kar jis tarah ham jale hain

dozaḳh men ho kisi par aisa azaab shayad

ashkon se tar hui thi yuun raat sej un ki

yaad aa gaya tha koi hangam-e-ḳhvab shayad

ai shaiḳh tu mila kar dekh un se umr apni

huron ka Dhal gaya ho ab to shabab shayad

tauba ‘hafiz’ mai ka paḌ jaa.e jis ko chaska

phir us se marte dam tak chhuTe sharab shayad

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Zindagani Ki Haqiqat Tab Hi Khulti Hai Miyan

Dar-Haqiqat Roz-O-Shab Ki talKHiyan Jati Rahin

poet

Koi Deta Nahin Hai Dad Be-Dad

Jis Ka Inkar Bhi Inkar Na Samjha Jae

Na Hum Ab Yaad Mein Uski Kabhi Aansu Bahaenge

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet