sunoge mujh se mera majra kya
kaha karte hain afsanon men kya kya
nahin tashvish-e-ainda ki ho kab
guzishta ka tahayyur hai ki tha kya
na kar taftish hai khalvat-nashin kaun
taammul kar ki hai ye barmala kya
hai ik aina-khana bazm-e-kasrat
bataun ghair kis ko ma-siva kya
faqat mazkur hai ik nisbat-e-khas
muqaddar hai khabar kya mubtada kya
jahan naqsh-e-qadam ho ruh-e-qudsi
vahan pahunchegi aql-e-na-rasa kya
lagaun shaian-lillah ki sada kyuun
bhula duun yafalullah-ma-yasha kya
Leave a Reply