dam-e-raftar-e-janan ye sada-e-naz aati hai
sambhalen sab dilon ko paanv ki avaz aati hai
saba jo pur mira ai baghban laati hai gulshan men
qafas se saath yaan tak hasrat parvaz aati hai
abhi jaao na yaran qafas-e-gulzar ki janib
zara ham muntazir hain taqat-e-parvaz aati hai
asar ye hai ki bulbul jab qafas men karti hai naala
shikast-e-rang-e-gul ki baagh se avaz aati hai
nazar duzdida teri kab nazar aati hai ashiq ko
uḌa jaata hai dil aur tiir ki avaz aati hai
shikva-e-husn ye hai jab kabhi tum ja nikalte ho
to but-ḳhane se ya-allah ki avaz aati hai
sada di main ne jab aane lagi sub.h shab-e-vaslat
samajh kar aa kidhar o tafarqe parvaz aati hai
tire baa.is se jis ne kal hamen di thi bahut iiza
vahi shab aaj phir ai tala-e-na-saz aati hai
hui muddat tire zulfon ke divane ki sehat ko
bigaḌ jaata hai shab zanjir ki avaz aati hai
zara kah de koi un se qarib aaya dam-e-aḳhir
ki ulTi saans ab to ai mire dam-saz aati hai
javani ke nishan andam se hone lage zahir
mubarak ho bahar ai sard baagh naaz aati hai
jhuka.e sar na kyuun ḳhamosh baiThun hijr-e-janan men
ki dil ke TuTne ki kaan men avaz aati hai
bhala aaj zinda ah-e-dil ashiq kare paida
ki ḳhud vo kah rahe hain dard ki avaz aati hai
‘rashid’ ash.ar mohmal paḌh rahe ho jam.a hain sha.ir
ḳhajil hote nahin tum dil ki ye avaz aati hai
Leave a Reply