raz-e-hasti se ashna na hua
na hua aadmi ḳhuda na hua
harf rakhta hai jo nigahon par
ru-ba-ru is ke aa.ina na hua
tu to shah-rag ke paas tha lekin
tai hamin se ye fasla na hua
rakh diya mujh pe farz-e-ḳhidmat-e-ḳhalq
jab koi mujh sa dusra na hua
us ki dariya-dili ḳhuda rakkhe
arz ham se hi mudda.a na hua
Leave a Reply