achchhi nibhi butan-e-sitam-ashna ke saath
ab baad-e-marg dekhiye kya ho khuda ke saath
jab se vo sun chuke hain ki ham khvab men chale
nichi nigah bhi nahin karte haya ke saath
yuun gumrahan-e-ishq hain rahzan ke saath khush
goya ki ho liye hain kisi rahnuma ke saath
mangon dua-e-marg to amin kahe adu
ab un ki bad-dua hai mire muddaa ke saath
yuun kahte hain ki tujh ko satae hi jaenge
goya ki mujh ko ishq hai apni vafa ke saath
ghairon ne be-dili se miri paae muddaa
main gum hua na kyuun dil-e-hasrat-faza ke saath
sharminda-e-butan na hue laakh laakh shukr
‘salik’ khuda ne ham ko uthaya vafa ke saath
Leave a Reply