mere liye to phir koi mera nahin hua
tujh se bichhaḌ ke main bhi kisi ka nahin hua
us ne bhi ḳhvahishon ko bahakne nahin diya
main bhi junun-e-ishq men andha nahin hua
boya tha ham ne jo bhi vahi kaTna paḌa
kaise kahen ki jo hua achchha nahin hua
vaqt-e-dua ye ḳhauf satata raha mujhe
maqbul kya mira koi sajda nahin hua
shab-bhar tumhari yaad ka pahra laga raha
phir aaj ham pe niind ka hamla nahin hua
dushvariyon men ham ko ḳhuda yaad aa gaya
varna to ek vaqt ka sajda nahin hua
‘mashkur’ ki sada pe vo muḌ kar na aa saka
naraz ham se vo kabhi itna nahin hua
Leave a Reply