chaman men lala-o-gul par nikhar bhi to nahin
ḳhizan agar ye nahin hai bahar bhi to nahin
tamazat-e-gham-e-dauran se phunk rahi hai hayat
kahin pe saya-e-gesu-e-yar bhi to nahin
ḳhayal-e-tark-e-mohabbat baja sahi lekin
ab apne dil pe hamen iḳhtiyar bhi to nahin
kabhi to jan-e-vafa hai kabhi hai dushman-e-jan
tiri nazar ka koi e’tibar bhi to nahin
ba-in taghaful-e-paiham sitam to ye hai ‘surur’
main us ki ḳhatir-e-nazuk pe baar bhi to nahin
Leave a Reply