• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Itna Achchha Na Agar Hota to Hum Sa Hota

Itna Achchha Na Agar Hota to Hum Sa Hota

poet

itna achchha na agar hota to ham sa hota

ham ne dekha hi na hota tujhe chaha hota

tu mire paas bhi hota to bhala kya hota

mera ho kar bhi agar aur kisi ka hota

ab to kuchh kuchh ye sabhi sab hi men mil jaate hain

koi to hota ki main hota to achchha hota

nanhe bachchon ki tarah sote hain hansne vaalo

tum ne aaise men agar aap ko dekha hota

ab to jo kuchh huun yahi kuchh huun bura huun ki bhala

aisa kya kahiye ki yuun hota to kaisa hota

jab daraḳhton men hava loriyan gaati guzri

tum ne aaise men kisi aur ko dekha hota

ye andhera ki range jaata hai Tahni Tahni

tere chehre ki jhalak dekh ke utra hota

ek duniya ne tujhe dekha hai lekin main ne

jaise dekha hai tujhe vaise na dekha hota

chand yuun shaḳhon men uljha hi na rahta kal raat

‘ashk’ vo shaḳhs agar paas hi baiTha hota

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kafi Nahin KHutut Kisi Baat Ke Liye

Ab Yahan Koi Nahin Pahle Yahan Tha Koi

Tera Lahja Teri Pahchan Mubarak Ho Tujhe

aas-fatmi

Khud Se Main Be-Yaqin Hua Hi Nahin

poet

Main KHub Ahl-E-Jahan Dekhe Aur Jahan Dekha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet