jab nazar jan0b-e-asbab-e-fana karte hain
pahle ham apni taraf dekh liya karte hain
jin ko hai tauq-o-salasil ke taqazon ka shu.ur
vahi pabandi-e-a.in-e-vafa karte hain
kaash ham ko bhi bata den ye batane vaale
choT lagti hai koi dil pe to kya karte hain
tarjumani ka vasila to hain dar-asl ye ashk
dil ke matlab ko ham ankhon se ada karte hain
tohmat-e-ishq kahan aur kahan ye ma.asum
muft badnam ‘munavar’ ko kiya karte hain
Leave a Reply