Kin Uljhanon Mein chhoD Gai Justuju Mujhe

kin uljhanoñ meñ chhoḌ ga.ī justujū mujhe

maiñ aarzū ko DhūñDhtā huuñ aarzū mujhe

ummīd ne bhī haath se dāman chhuḌā liyā

kyā haal ho jo aise meñ mil jaa.e tū mujhe

maqsūd-e-dil kuchh aur hai zauq-e-nazar kuchh aur

kis kashmakash meñ Daal ga.ī aarzū mujhe

qurbān be-ḳhudī ke kiyā sab se be-niyāz

apnī talāsh hai na tirī justujū mujhe

larzāñ thī jis ḳhayāl se duniyā-e-ārzū

aalam vo aa rahā hai nazar hū-ba-hū mujhe

har ik nafas hai sāz-e-mohabbat banā huā

baḳhshī hai soz-e-ishq ne vo aabrū mujhe

ik markaz-e-jamāl hai merī nigāh-e-shauq

pahuñchā diyā hai kis ne tire rū-ba-rū mujhe

shāyad ‘munīr’ ishq kī takmīl ho ga.ī

bār-e-garāñ hai aaj har ik aarzū mujhe

Leave a Comment