sabr-o-taslim ki sipar bhi nahin
aur tadbir kar-gar bhi nahin
tujh se tark-e-ta.alluqat bhi hai
aur tiri yaad se mafar bhi nahin
ab ye kam-himmati ka aalam hai
e’timad apne-ap par bhi nahin
gham ki tira-shabi ma.az-allah
ab to andaza-e-sahar bhi nahin
manzilon ka suragh DhunDhte hain
jo saza-var-e-rahguzar bhi nahin
dil nahin mo’atabar na ho lekin
mo’atabar kya tiri nazar bhi nahin
ham pe kyuun charḳh ki nigah paḌi
ham to kuchh aise namvar bhi nahin
Leave a Reply