shayad kisi bala ka tha saaya darakht par
chidiyon ne raat shor machaya darakht par
mausam tumhare saath ka jaane kidhar gaya
tum aae aur bor na aaya darakht par
dekha na jaae dhuup men jalta hua koi
mera jo bas chale karun saaya darakht par
sab chhode ja rahe the safar ki nishaniyan
main ne bhi ek naqsh banaya darakht par
ab ke bahar aai hai shayad ghalat jagah
jo zakhm dil pe aana tha aaya darakht par
ham donon apne apne gharon men muqim hain
padta nahin darakht ka saaya darakht par