main hua zinat-e-makan-e-qafas
dud-e-afghan hai saeban-e-qafas
lo asiro karo bayan-e-chaman
aur mujh se suno bayan-e-qafas
zoaf se main nazar nahin aata
jaane sayyad mujh ko jan-e-qafas
tu samajhta nahin miri sayyad
main samajhta nahin zaban-e-qafas
aa gai lab tak ah-e-atish-bar
ab khuda hai nigah-ban-e-qafas
nahin aati khabar rihai ki
tal-e-bad hai pasban-e-qafas
kis ki fariyad ne hilai zamin
kis pe tuuta hai asman-e-qafas
‘salik’ aane se maut ke hoga
faeda apna aur ziyan-e-qafas
Leave a Reply