kitna hasin tha tu kabhi kuchh ḳhayal kar
ab aur apne aap ko mat pa.emal kar
marne ke Dar se aur kahan tak jiyega tu
jiine ke din tamam hue intiqal kar
ik yaad rah ga.i hai magar vo bhi kam nahin
ik dard rah gaya hai so rakhna sambhal kar
dekha to sab ke sar pe gunahon ka bojh tha
ḳhush the tamam nekiyan dariya men Daal kar
ḳhvaja ke dar se koi bhi ḳhali nahin gaya
aaya hai itne duur to ‘alvi’ saval kar
Leave a Reply