zindagi men zabt paida kar diya
us ke gham ne dekhiye kya kar diya
aql-o-dil ne go chhupaya raaz ko
anso.on ne phir bhi rusva kar diya
us ki aahaT thi ya mera vahm tha
dil men jis ne hashr barpa kar diya
jab chali thi saath men ik aas thi
raste ne mujh ko tanha kar diya
kis ki nazren phir masiha ban ga.iin
kis ne mere dil ko zinda kar diya
ek maddham si kiran ne yak-ba-yak
ḳhvab ko mere sunahra kar diya
aas ka marham diya yuun aap ne
zaḳhm-e-dil kuchh aur gahra kar diya
rah ga.i thi azma.ish kya koi
jaan ne kyon jaane men vaqfa kar diya
duur ‘nik.hat’ gulsitan se ho ga.i
is hava ne khel kaisa kar diya
Leave a Reply