ankhon ko ashk-bar kiya hai kabhi kabhi
yuun tera intizar kiya hai kabhi kabhi
mahshar ko darkinar kiya hai kabhi kabhi
tujh par jo e.atibar kiya hai kabhi kabhi
ḳhun-e-jigar se ham ne gulon ko nikhar kar
gulshan ko pur-bahar kiya hai kabhi kabhi
us astana-e-naz se nafrat bhi ki magar
sajda bhi baar baar kiya hai kabhi kabhi
ham ne tumhari yaad ke daghon se bhar ke dil
dil-gashta-e-bahar kiya hai kabhi kabhi
saaqi ne de ke jaam kiya ham ko shadman
vaa.iz ne sogvar kiya hai kabhi kabhi
‘marghub’ teri di hui divangi ka faiz
hasti ko taar taar kiya hai kabhi kabhi
Leave a Reply