kahen ham kya kisi se dil ki virani nahin jaati
hamari zindagi bhi ham se pahchani nahin jaati
ba-zahir aisa lagta hai sabhi hain mast duniya men
magar chehron se poshida pareshani nahin jaati
rava-dari ki chadar se kahan tak khud ko dhapenge
ki is kam-zarf duniya men to ye taani nahin jaati
bahut samjha liya dil ko bichhadna to muqaddar tha
na jaane kyuun mire dil se pashemani nahin jaati
bahut hi ladla thahra ye maana dil hamara hai
magar ab is ki har ik baat to maani nahin jaati
Leave a Reply