na haara hai ishq aur na duniya thaki hai
diya jal raha hai hava chal rahi hai
sukun hi sukun hai khushi hi khushi hai
tira gham salamat mujhe kya kami hai
charaghon ke badle makan jal rahe hain
naya hai zamana nai raushni hai
are o jafaon pe chup rahne vaalo
khamoshi jafaon ki taid bhi hai
mire rahbar mujh ko gumrah na kar de
suna hai ki manzil qarib aa gai hai
‘khumar’-e-bala-nosh ki tu aur tauba
tujhe zahidon ki nazar lag gai hai