dil to kya jaan se guzarna aaya
ji uthe log jo marna aaya
sarf jab tak na hua dil ka lahu
harf men rang na bharna aaya
ho gae saare samundar payab
jab hamen paar utarna aaya
fasl-e-gul i to har ghunche ko
zakhm ki tarah nikharna aaya
jo nafas tha vo raha garm-e-safar
kab musafir ko thaharna aaya
ik gul-e-tar ki mohabbat men hamen
kitne kanton se guzarna aaya
vo adab ishq ne bakhsha ki hamen
muddaton baat na karna aaya
dil pe apne jo padi zarb ‘ziya’
tuut kar ham ko bikharna aaya
Leave a Reply