• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Yak-Ba-Yak Mausam Ki Tabdili Qayamat dha Gai

Yak-Ba-Yak Mausam Ki Tabdili Qayamat dha Gai

akhtar-hoshiyarpuri

yak-ba-yak mausam ki tabdili qayamat dha gai

ruk ke sustana tha jab mujh ko kaḌi dhuup aa gai

din dhale kis ko hai tajdid-e-safar ka hausla

aati jaati rahguzar nahaq mujhe bahka gai

bu-e-gul mauj-e-hava hai aur hava kyunkar ruke

ab ke miTTi hi ki ḳhushbu mera ghar mahka gai

vo havaen hain uḌe jaate hain pairahan yahan

ai urus-e-zist tu kyuun ghar se bahar aa gai

ye hava aai kahan se is se main vaqif na tha

mere ghar men jo charaghon ka dhuan phaila gai

vo ghaTa phir is taraf se lauT kar guzri nahin

sukhi dharti ko jo dariya ka pata batla gai

zindagi marg-e-talab tark-e-talab ‘aḳhtar’ na thi

phir bhi apne tane-bane men mujhe uljha gai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kya Jaane Ye Chalti Goli

Kaun Hun Kya Hun Batati Nahin Surat Meri

poet

Ai Chingari Rakh Na Ban

Mohabbat Ki Hawa-E-Dil-Ruba Se jhuT Bolegi

poet

Na Itna Kije Talabgar Kaun Aap Ka Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet