baḌh gaya mol zindagani ka
ab main hissa huun ik kahani ka
laḌkhaḌane ki puuri koshish hai
aḳhiri moḌ hai javani ka
aaj ankhon se kaam lenge ham
aaj mauqa hai be-karani ka
main ḳhalaon talak to aa hi gaya
shukr sad shukr ra.egani ka
ashk ah-o-fughan ghazal-goi
marhala ab hai tarjumani ka
Leave a Reply