ik faramosh kahani men raha
main jo us aankh ke paani men raha
rukh se udta hua vo rang-e-bahar
ek tasvir purani men raha
main ki maadum raha surat-e-khvab
phir kisi yad-dahani men raha
dhang ke ek thikane ke liye
ghar-ka-ghar naql-e-makani men raha
main thaharta gaya rafta rafta
aur ye dil apni ravani men raha
vo mira naqsh-e-kaf-e-pa-e-talab
ahd-e-rafta ki nishani men raha
main ki haagama-e-yak-khvab liye
koi din alam-e-fani men raha
Leave a Reply