va.ada gar roz kiye ja.iyega
roz samjhunga ki aaj a.iyega
jaan ka gham nahin gham ye hai ki aap
qatl kar ke mujhe pachhta.iyega
main bhi huun hazrat-e-naseh daana
kuchh samajh kar mujhe samjha.iyega
laghar itna huun ki huun ghar men magar
mere ghar men na mujhe pa.iyega
tum nahin qaul-o-qasam ke sachche
jhuuT kahta huun qasam kha.iyega
dar pe rahne ki ijazat de kar
kahte hain paanv na phaila.iyega
kya hai jo kahte ho mutrib se tum aaj
koi ‘nazim’ ki ghazal ga.iyega
Leave a Reply