kuchh bhi na jab dikha.i de tab dekhta huun main
phir bhi ye ḳhauf sa hai ki sab dekhta huun main
ankhen tumhare haath pe rakh kar main chal diya
ab tum pe munhasir hai ki kab dekhta huun main
aahaT aqab se aa.i aur aage nikal ga.i
jo pahle dekhna tha vo ab dekhta huun main
ye vaqt bhi batata hai adab-e-vaqt bhi
is TuTte sitare ko jab dekhta huun main
ab yaan se kaun de miri chashm-e-talab ko daad
jis fasle se bab-e-talab dekhta huun main
in putliyon ka qarz chukata huun kya karun
bas dil se dil milata huun jab dekhta huun main
nakam-e-ishq huun so mira dekhna bhi dekh
kam dekhta huun aur ghazab dekhta huun main
Leave a Reply