zamane ne vo qayamat ki chaal ab ke chali
miri kahani bahut der se ruki hui hai
jo talḳhiyan sahin parda haTa nigahon se ik
hua na harj koi ḳhud se agahi hui hai
palaT ke dekh to safhat zindagi ke kabhi
kahani ek mohabbat ki bas likhi hui hai
le ‘shamsa’ naam bhi suraj se mil raha hai tira
jali tu aag men jab ja ke raushni hui hai
vo dusron ko jo insaniyat ka dete hain dars
ajab hai un men isi chiiz ki kami hui hai
Leave a Reply