shishon ki baat aur hai saghar ki baat aur
saaqi hai teri chashm-e-fusun-gar ki baat aur
fanus ne farogh diya sham-e-husn ko
parde se baḌh ga.i ruḳh-e-anvar ki baat aur
ishrat-sara-e-ḳhuld ka munkir to main nahin
lekin tumhare dam se hai is ghar ki baat aur
dil nazuki men fard ḳhirad saḳhtiyon men taaq
shishe ki baat aur hai patthar ki baat aur
vo bar-sabil-e-davat-e-tauba sahi magar
kuchh der naseha mai-o-saghar ki baat aur
donon hain ek phir bhi jarahat men farq hai
abru ki baat aur hai ḳhanjar ki baat aur
bahr-e-sujud yuun to hazaron hain astan
un sab ki baat aur hai us dar ki baat aur
asar kah rahe hain ki manzil qarib hai
vaise to ham-safar hai muqaddar ki baat aur
donon ki shakl ek hai qimat juda juda
aansu ki baat aur hai gauhar ki baat aur
‘faruq’ un ke va.ada-e-farda pe ḳhush na ho
andar ki baat aur hai uupar ki baat aur
Leave a Reply