kabhi to khul ke baras abr-e-mehrban ki tarah
mira vajud hai jalte hue makan ki tarah
bhari bahar ka siina hai zaḳhm zaḳhm magar
saba ne gaa.i hai lori shafiq maan ki tarah
vo kaun tha jo barahna badan chaTanon se
lipaT gaya tha kabhi bahr-e-be-karan ki tarah
sukut-e-dil to jazira hai barf ka lekin
tira ḳhulus hai suraj ke sa.eban ki tarah
main ek ḳhvab sahi aap ki amanat huun
mujhe sambhal ke rakhiyega jism-o-jan ki tarah
kabhi to soch ki vo shaḳhs kis qadar tha buland
jo bichh gaya tire qadmon men asman ki tarah
bula raha hai mujhe phir kisi badan ka basant
guzar na jaa.e ye rut bhi kabhi ḳhizan ki tarah
Leave a Reply