jo ham teri ankhon ke taare hue hain
ka.i ratjagon ke sanvare hue hain
barabar pe chhuTi mohabbat ki baazi
na jiite hue hain na haare hue hain
unhin ki nazar men utarna hai ham ko
jo ham ko nazar se utare hue hain
qalam yaad coffē bharam chand panne
bas itne men bhi din guzare hue hain
ghazal ka hunar sirf hasil ghamon ka
ye ash.ar ashkon se khare hue hain
Leave a Reply