kab talak ham ko na avega nazar dekhen to
kaise tarsata hai ye dida-e-tar dekhen to
ishq men us ke ki guzre hain sar o jaan se ham
apni kis taur se hoti hai guzar dekhen to
kar ke vo jaur-o-sitam hans ke laga ye kahne
aah o afghan ka tiri ham bhi asar dekhen to
sabr ho sakta hai kab ham se vale maslahatan
azmaish dil-e-betab ki kar dekhen to
dhab chadhe ho mire tum aaj hi to muddat baad
jaenge aap kahan aur kidhar dekhen to
kis dileri se kare hai tu fida jaan us par
dil-e-jan-baz tira ham bhi hunar dekhen to
kya majal apni jo kuchh kah saken ham tujh se aur
tujh ko bhar kar nazar ai shokh pisar dekhen to
ho chalin khira to akhtar-shumari se ankhen
shab hamari bhi kabhi hogi sahar dekhen to
ishq ke sadme uthane nahin asan ‘hasrat’
kar sake koi hamara sa jigar dekhen to
Leave a Reply