• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Uski Surat Ka Tasawwur Dil Mein Jab Late Hain Hum

Uski Surat Ka Tasawwur Dil Mein Jab Late Hain Hum

poet

us ki surat ka tasavvur dil men jab laate hain ham

ḳhud-ba-ḳhud apne se hamdam aap ghabrate hain ham

hosh gar rahta ho tujh ko ham se poshida na rakh

jab vo yaan aata hai ai dil tab kahan jaate hain ham

baiThe baiThe kyuun yakayak haa.e dil khoya gaya

hamdam is ka kuchh sabab DhunDe nahin paate hain ham

ḳhud-ba-ḳhud kal shab ko vo bole uTha munh se naqab

jo na dekha ho kisi ne mujh ko, dikhlate hain ham

be-sabab ho kar ḳhafa jab kuchh sunata hai vo shoḳh

ji hi ji men apne upar haa.e jhunjhlate hain ham

shaam ko saaqi kabhi aata hai gar tera ḳhayal

sub.h tak bhi hosh men apne nahin aate hain ham

ham ne gham kya ḳhaak khaya gham ne ham ko kha liya

log ai hamdam samajhte hain ki gham khate hain ham

jaam le kar mujh se vo kahta hai apne munh ko pher

ru-ba-ru yuun tere mai piine se sharmate hain ham

jo kalam-e-ishq ye hargiz samajhta hi nahin

dil ko sau sau tarah ‘ghamgin’ haa.e samjhate hain ham

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Bosa dete Ho Agar Tum Mujhko do do Sab Ke do

Chashm-E-KHush-Ab Ki Tamsil Mein Rahne Wale

Tujhe Zara Dukh Aur Sisakne Wala Main

Wo Jab Bhi Pukarega Yahan Aan Rahenge

poet

Qubul Tha Ki Falak Mujh Pe Sau Jafa Karta

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet