zara dekhiye to ghazab Dha rahe hain
ghazal ke bahane suna kya rahe hain
kitabon men jo phuul murjha ga.e the
baghavat ke parcham nazar aa rahe hain
kabhi zindagi ka ujala hamin the
hamin aankh men ab chubhe ja rahe hain
karen kaise charagaron pe bharosa
maraz kaun sa hai bata kya rahe hain
safina hamara ḳhuda ke havale
hamen kya ḳhabar bas chale ja rahe hain
Leave a Reply