naseh ko jeb siine se fursat kabhu na ho
dil yaar se phate to kisi se rafu na ho
is dil ko de ke luun do jahan ye kabhu na ho
sauda to hove tab ye ki jab us men tu na ho
aina-e-vajud adam men agar tira
vo darmiyan na ho to kahin ham ko ru na ho
jhagda to husn o ishq ka chukta hai pal ke biich
gar mahkame men qaazi ke tu ru-ba-ru na ho
qatre ki khul gai hai girah varna ai nasim
shor-e-dimagh murgh-e-chaman gul ki bu na ho
guzre so guzre ahl-e-zamin uupar ai falak
ainda yaan talak to koi khub-ru na ho
dil le ke tujh se barq ke shole ko dijiye
par hai ye dar ki us ki bhi aisi hi khu na ho
gul ki na tukhm murgh-e-chaman kar sake talash
ham kham-fitraton se tiri justuju na ho
‘sauda’ badal ke qafiya tu is ghazal ko kah
ai be-adab tu dard se bas du-ba-du na ho
Leave a Reply