yuun mujhe teri sada apni taraf khinchti hai
jaise ḳhushbu ko hava apni taraf khinchti hai
ye mujhe niind men chalne ki jo bimari hai
mujh ko ik ḳhvab-sara apni taraf khinchti hai
mujhe dariya se nahin hai koi lena-dena
kyuun mujhe mauj-e-bala apni taraf khinchti hai
khinchti hai mujhe rah rah ke mohabbat us ki
jaise faani ko fana apni taraf khinchti hai
main huun suraj sa ravan raat ki janib ‘shahid’
mujh barahna ko qaba apni taraf khinchti hai
Leave a Reply