umr lambi to hai magar baaba
saare manzar hain aankh bhar baaba
zindagi jaan ka zarar baaba
kaise hogi guzar-basar baaba
aur ahista se guzar baaba
samne hai abhi safar baaba
tum bhi kab ka fasana le baiThe
ab vo divar hai na dar baaba
bhule-bisre zamane yaad aa.e
jaane kyuun tum ko dekh kar baaba
haan haveli thi ik suna hai yahan
ab to baaqi hain bas khanDar baaba
raat ki aankh DabDaba aa.i
dastan kar na muḳhtasar baaba
har taraf samt hi ka sahra hai
bhaag kar ja.enge kidhar baaba
us ko salon se napna kaisa
vo to hai sirf saans bhar baaba
ho ga.i raat apne ghar jaao
kyuun bhaTakte ho dar-ba-dar baaba
rasta ye kahin nahin jaata
aa ga.e tum idhar kidhar baaba
Leave a Reply