bas ek baar faqat ek baar kam se kam
siva mira ho tira iḳhtiyar kam se kam
har ek rang tujhe Dhanp dunga sar-ta-pa
tiri har ek ka badla hazar kam se kam
na saath saath sahi itni duur bhi to na ja
ujaaḌ mat mire qurb-o-javar kam se kam
hai ittifaq ki insan nikle donon hi
huzur-e-vala bahut ḳhaksar kam se kam
yuun apni saakh bacha.i kiya use uryan
ki apna sheva nahin tu-takar kam se kam
sabhi hain raam bharose ḳhuda ki basti men
koi to ḳhud pe kare inhisar kam se kam
shikast par koi nauha na fat.h par na.ara
na zindagi se ho utna farar kam se kam
Leave a Reply