aa ke ik baar mire yaar zara dekh to le
charagar ḳhud bhi hai bimar zara dekh to le
din guzarta hai tire hijr men thoḌa thoḌa
gardish-e-vaqt ki ye maar zara dekh to le
qalb-e-varafta ki har aah bhi sahmi sahmi
dhimi dhimi si hai raftar zara dekh to le
ab bhi mahfuz hain ankhon men vo saare manzar
vahi naḳhre vahi takrar zara dekh to le
na samundar hai na sahil na koi kashti hai
kaise utrega vo us paar zara dekh to le
tum ki har baat pe saḌkon pe utar aate ho
zang-aluda hai talvar zara dekh to le
main ki baiTha huun tire dar pe savali ban kar
honge kitne hi giraftar zara dekh to le
ham ki ḳhanjar se bhi do baten kiya karte hain
zaḳhm gahra hai so talvar zara dekh to le
Leave a Reply