• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kufr Ek Rang-E-Qudrat-E-Be-Intiha Mein Hai

Kufr Ek Rang-E-Qudrat-E-Be-Intiha Mein Hai

poet

kufr ek rang-e-qudrat-e-be-intiha men hai

jis but ko dekhta huun vo yad-e-khuda men hai

ashiq hai jo ki jama-e-sidq-o-safa men hai

maashuq hai jo parda-e-hilm-o-haya men hai

aalam hai mast sajda-e-janan men ta-abad

masti bala ki bada-e-”qalu-bala” men hai

iman hai aks-e-rukh to hai gesu ka aks-e-kufr

vo kaun chiiz hai jo tiri ma-siva men hai

abru ke mahv kaabe men surat ke dair men

ushshaq rukh ka silsila nur-o-ziya men hai

be-jalva-gah-e-yar kahan ye ruju-e-khalq

bahs-e-fuzul barhaman-o-parsa men hai

juuya hai bas ki ariz-o-gesu-e-yar ka

paband shaikh sajda-e-subh-o-masa men hai

raftar moajaza hai to hai sehr chaal men

shokhi ajab tarah ki tire naqsh-e-pa men hai

teri taraf ko muslim o kafir ki hai ruju

puuja men barhaman hai to zahid dua men hai

maqtul lakhon ho chuke shaeq hazar-ha

lazzat ajiib yaar ki tegh-e-jafa men hai

ik pech-o-kham men gabr-o-musalman hain mubtala

vusat bala ki yaar ki zulf-e-rasa men hai

‘bahram’ ashiqana ghazal ek aur bhi

quvvat abhi bahut tiri fikr-e-rasa men hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

abdul-hamid-adam

dil Hai Badi Khushi Se Ise Paemal Kar

Qadmon Ka Rah-E-Dil Pe Nishan Koi Nahin Tha

Kisi Ke Nam Ko Likhte Hue miTate Hue

Un Se Izhaar-E-Shikayat Karun Ya Na Karun

KHat Uske Apne Hath Ka Aata Nahin Koi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet