• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Zulm to Ye Hai Ki Shaki Mere Kirdar Ka Hai

Zulm to Ye Hai Ki Shaki Mere Kirdar Ka Hai

zulm to ye hai ki shaki mire kirdar ka hai

ye ghana shahr ki jangal dar-o-divar ka hai

rang phir aaj digar barg-e-dil-e-zar ka hai

sha.iba mujh ko hava par tiri raftar ka hai

us pe tohmat na dhare mere junun ki koi

mujh pe to saaya mire apne hi asrar ka hai

sirf ye kahna bahut hai ki vo chup-chap sa tha

us ko andaza mare sheva-e-guftar ka hai

kis ne kis haal men chhoḌa tha vafa ka daman

mas.ala ye to miri jaan baḌi takrar ka hai

raat bhar niind na aane ka gila kis se karun

is men bhi haath mire tala-e-bedar ka hai

dard ki dhuup se bachne ke taraddud men khula

silsila ta-ba-ufuq ḳhauf ke ashjar ka hai

rat-din khoj men dariya ki sada rahti hai

aadmi koi tire gaanv men us paar ka hai

har ghaḌi mohtasib-e-shahr ho maujud jahan

kaam is bazm men kya mujh se gunahgar ka hai

jhulna daar pe is ahd men asan hai magar

marhala saḳht bahut jur.at-e-iz.har ka hai

zindagi sa.at-e-maujud ke qadmon men jhukao

faisla aaj yahi vaqt ke darbar ka hai

kis na.e gham se charaghan hai nazar mahfil-e-jan

rang kuchh aur hi ab ke tire ash.ar ka hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Nok-E-Shamshir Ki Ghat Ka Silsila Yun Pas-E-Aina Kal Utara Gaya

Dushwar Yun Bhi Naql-E-Makani paDi Mujhe

poet

Mili Jo Dil Ko KHushi to KHushi Se Ghabrae

Usne Har-Su DhunDa Hoga

ahmad-faraz

dosti Ka Hath

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet