• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ek Main Bhi Hun Kulah-daron Ke Bich

Ek Main Bhi Hun Kulah-daron Ke Bich

obaidullah-aleem

ek main bhi huun kulah-daron ke biich

‘mir’ sahab ke parastaron ke biich

raushni aadhi idhar aadhi udhar

ik diya rakkha hai divaron ke biich

main akeli aankh tha kya dekhta

aina-khane the nazzaron ke biich

hai yaqin mujh ko ki sayyare pe huun

aadmi rahte hain sayyaron ke biich

kha gaya insan ko ashob-e-maash

aa gae hain shahr bazaron ke biich

main faqir ibn-e-faqir ibn-e-faqir

aur askandar huun sardaron ke biich

apni virani ke gauhar rolta

raqs men huun aur bazaron ke biich

koi us kafir ko us lamhe sune

guftugu karta hai jab yaron ke biich

ahl-e-dil ke darmiyan the ‘mir’ tum

ab sukhan hai shoabada-karon ke biich

aankh vaale ko nazar aae ‘alim’

ik mohammad-mustafa saron ke biich

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Raushni Tak Raushni Ka Rasta Kah Lijiye

KHirad Ne Lakh Sar-O-Barg-E-Ijtinab Kiya

Jo La-Mazhab Ho Usko Millat-O-Mashrab Se Kya Matlab

Na Mahfil Aisi Hoti Hai Na KHalwat Aisi Hoti Hai

Aashiq Jo Is Gali Ka Bhi Mar Kar Chala Gaya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet