abr ka TukḌa ho jaise chand par Thahra hua
yuun tire mukhḌe pe zulfon ka ghana saaya hua
qurb ki lazzat se ankhon men ghaTa si chha ga.i
aur ye dil hai sharabi ki tarah bahka hua
dil samajhta hai tiri raftar ke uslub ko
tu abhi aaya nahin aur hashr sa barpa hua
ashna.i ki hava dil ke chaman men kya chali
har gul-e-manzar nazar aaya mujhe dekha hua
ab kisi gham ka sitara bhi nahin raushan ‘nadim’
kya miri ankhon men koi chand hai nikla hua
Leave a Reply