kahan kisi ki nazar hai tiri nazar ki tarah
jo kaam dil ka bhi karti chale jigar ki tarah
bahut se aise bhi duniya men log milte hain
jo ba-ḳhabar hain magar hain vo be-ḳhabar ki tarah
ye barbariyat-o-vahshat ye aag aur ye dhuan
bashar ko rahna bhi mushkil hai ab bashar ki tarah
asir-e-hur hain vaa.iz ab un ki kaun sune
kahani aap ki hai tul-e-muḳhtasar ki tarah
barasne ko to barasta hai abr-e-naisan bhi
magar baras na saka meri chashm-e-tar ki tarah
na jaane kaun se aalam men gum hua ‘asi’
na ba-ḳhabar ki tarah hai na be-ḳhabar ki tarah
Leave a Reply