labon pe narm tabassum racha ke dhul jaaen
khuda kare mire aansu kisi ke kaam aaen
jo ibtida-e-safar men diye bujha baithe
vo bad-nasib kisi ka suragh kya paaen
talash-e-husn kahan le chali khuda jaane
umang thi ki faqat zindagi ko apnaen
bula rahe hain ufuq par jo zard-ru tiile
kaho to ham bhi fasanon ke raaz ho jaaen
na kar khuda ke liye baar baar zikr-e-bahisht
ham asman ka mukarrar fareb kyuun khaen
tamam mai-kada sunsan mai-gusar udaas
labon ko khol ke kuchh sochti hain minaen
Leave a Reply