vaqar de ke kabhi be-vaqar mat karna
hamen ḳhuda ke liye sharmsar mat karna
nikalna jab kabhi le kar charagh basti men
andhere ghar bhi milenge shumar mat karna
usi ka aaj bhi ham intizar karte hain
jo kah gaya tha mira intizar mat karna
ye maana aaj zamana hai bevafa.i ka
magar tum aisa chalan iḳhtiyar mat karna
safar ke maare hue asman ke panchhi
sukun se baiThe hain un ka shikar mat karna
dil iztirab ki had se guzar gaya ai dost
naya ab aur koi mujh pe vaar mat karna
kahin bikhar ke na rah jaa.e gham fazaon men
qaba-e-ghuncha-e-dil tar-tar mat karna
miri ḳhata ko karam ki rida uḌha dena
mujhe zamane ki nazron men ḳhvar mat karna
jab iḳhtilaf men sar ko uTha.e hon maujen
to ai ‘guhar’ kabhi dariya ko paar mat karna
Leave a Reply