• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Na Hui Saf Tabiat Hi To Hai

Na Hui Saf Tabiat Hi To Hai

poet

na hui saaf tabiat hi to hai

rah gai dil men kudurat hi to hai

bha gaiin dil ko adaen un ki

khub gai ankhon men surat hi to hai

meri mayyat pe na aae na sahi

na hui aap ko fursat hi to hai

nahin karta main jafa ka shikva

aap kya kijiye aadat hi to hai

nahin aata kasi pahlu aram

nahin katti shab-e-furqat hi to hai

nikli qatil na tire tiir ke saath

dil hi men rah gai hasrat hi to hai

mujh se aasi pe ye bakhshish ye karam

banda-parvar tari rahmat hi to hai

na tali sar se bula-e-furqat

pad gai jaan pe aafat hi to hai

ham ne phera na dil apna tujh se

jaan de baithe muravvat hi to hai

hashr barpa hai tari qamat se

ye bhi andaz-e-qayamat hi to hai

na raha zabt ka yaara ‘anjum’

na chhupi ham se mohabbat hi to hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Dekhte Hi Dekhte Khone Se Pahle Dekhte

Mohabbat Ki Mata-E-Jawedani Le Ke Aaya Hun

Mehwar Pe Bhi Gardish Meri Mehwar Se Alag Ho

poet

KHud Dekh KHudi Ko O KHud-Ara

ahmad-sajjad-babar

Bujhti Hui Aankhon Ka Akela Wo diya Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet