Ai Rabb-E-Kainat Yaqin Chahiye Hamein

ai rabb-e-kā.ināt yaqīñ chāhiye hameñ

jo chāhte haiñ ham vo yahīñ chāhiye hameñ

ġhāfil kare jo yaad se terī tamām raat

itnā sukūn bhī to nahīñ chāhiye hameñ

kab tak havā ke dosh pe chalte raheñge ham

rakhne ko paañv kuchh to zamīñ chāhiye hameñ

andar kī samt hone lagā hai safar nayā

bāhar paḌā hai jo bhī nahīñ chāhiye hameñ

taare ravāñ ho jis ke qadam chūmte hue

‘mansūr’ aisā ḳhāk-nashīñ chāhiye hameñ

Leave a Comment