kya kya ba-dast-e-ghaib sabhi ne liya na tha
lekin miri vafa ka koi bhi sila na tha
avaza-e-raqib se uljhe hain baar baar
tujh se shikayaton ka magar hausla na tha
us ki navazishon pe na itrao dosto
mujh par karam vo tha ki kisi par hua na tha
lete hain baar baar vo aise ḳhuda ka naam
duniya men jaise aur kisi ka ḳhuda na tha
raste dayar-e-dil ke bhi kitne ajiib the
sab rah-rau the koi yahan rahnuma na tha
dil ne to apni baat kahi sab ke ru-ba-ru
dil tha munafiqat se kabhi ashna na tha
shisha-garon ne us ki basirat bhi chhin li
ankhen thiin us ke paas magar dekhta na tha
nadida manzilon ke musafir the kitne log
chalna tha jin ka kaam magar aasra na tha
kya bujh ga.e the mere hi ghar ke sabhi charagh
ya shahr bhar men diya bhi jala na tha
us gul ka ab-o-rang hi tha ru-kash-e-bahar
jo gul darun-e-shaḳh tha lekin khila na tha
qatil to aur bhi the bahut shahr-e-dard men
tujh sa magar ‘jamil’ koi dusra na tha
Leave a Reply