naam sunta huun tira jab bhare sansar ke biich
lafz ruk jaate hain aa kar miri guftar ke biich
ek hi chehra kitabi nazar aata hai hamen
kabhi ashar ke bahar kabhi ashar ke biich
ek dil tuuta magar kitni naqaben paltin
jiit ke pahlu nikal aae kai haar ke biich
koi mahfil ho nazar us ki hamin par thahri
kabhi apnon men sataya kabhi aghyar ke biich
aise zahid ki qayadat men to tauba tauba
kabhi iman ki baten kabhi kuffar ke biich
kabhi tahzib-o-tamaddun ka ye markaz tha miyan
tum ko basti jo nazar aati hai asar ke biich
jis tarah taat ka paivand ho makhmal men ‘adil’
maghribi chal-chalan mashriqi aqdar ke biich
Leave a Reply